Mere liye to zindagi usi din ttheher gayee thhee-
Tum mujhe chhod ke jis pal, jis peher gayee thhee-
Ab bhi yaad aati ho wohi hari shawl orre-
Dekh kar mujhe door se muskurati ho-
Aur wahi main sharmaya sa khada hoon door kone main-
Namaskar ki mudra mein, haath jode.
Dekhta, door bechain tumhari nazar-
utthti, langhti bekhabar jamavde ke badha dalte sar-
Rukti, sehmi si, niharti-ghuharti,
mann main prabhu ka naam pukarti
ruh se huyee chanchal-
tthitthak jati duniya ki painee nazron se dar-
sajal nayan ab- betab mann,
besabr chahta loon main (mujhe) bahon main bhar,
yaan bhar jaoon uski bahon main kaundhti bijlee se dar.
Badte nahin kadam- sakhiyaan banh pakad le jana chahti-
tum na na karti haath chhudana chahti, bahana karti.
Dekhti peechhe mud mud kar- aakhir pa kar meri jhalak
khush ho haath hilati-
phir utthe haath se balon ko sehlati chalee gayee –
Aur rah dekhta reh gaya main umar bhar-
Mujhe nahin pata thha- tumhain bhi-
Wo humari aakhri mulakat hogi-
Phir kabhi hogi to bas phone par hi baat hogi-
Mujhe khabar hogi to ek card ke sahare-
Aur ek deevar khadi ho jayegi beech mere tumhare-
Mujhe nahin pata thha us din-
shadi main koyee ajnabee tum par fida ho jayega-
aur itni jaldi achanak tumhara vivah ho jayega-
Tum meri sparsh ki duniya se chali jaogi-
aur kewal khayalon main hi aaogi. Waise hi hansti-muskurati,
mujhe jeevan ka andaz sikhati,
zindagi meri-tum kisi aur ki zindagi ho jaogi-
Aur main tumhare aaney ka intzaar karta rahoonga-
Jeene ke bahane, kavita mein bula tumhain pyar karta rahoonga-
Jo khalipan tum chhod gayee thhee pechhe ,
Usey ab tak bhar nahin paya hun main tumhare khyalon. say-
Ab bhi reh reh ke lahoo rista hai mere dil ke chhalon se.
Buda ho gaya hoon main- Zindagi ke din reh gaye hain thode
Par ab bhi Jarjarta ki pahunch se parey dekhta hoon tumhain,
khadi ho wohi hari shawl orre.
Monday, March 30, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)